Tera khwaabo me yu aana,
mera chain kho jaana
bhookh pyaas ghum jaana
dil ka gaana woh gaana
dekho kitna puraana
sunlo taaro ka taraana
fir laye nazraana
mere pyaar ka khajaana
teri aankho ka nishaana
mera dil hua ghayal
tere pyaar me hai pagal
hua tujhpe wo kayal
baji jabse teri payal
teri aankhe aur kajal
jaise chaand aur badal
zulfo ka andhera
aur chehre ka savera
mera din meri raat
mere geet meri baat
sabme tu hai mere sang
gori rah gaya me dang
tera chandan sa ang
tu shama me patang
jal ke hai bataana
tujhse pyaar hai jataana
hotho ka silna
yu aankho se bataana
apne dil ka fasana
ab door nahi jaana
hua bahut tadpaana
nahi aur ab satana
ke tumko hai paana
jaaneman jaanejaana